Local Talent Back to Shayari
Most of content has been contributed by visitors like you. If you want to share your original Shayari or something interesting, please email us contact@jalandhari.com.
Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub
bhar diya
Magar tum itne
bewafa nikle, ki naha ke chal diye
Use karte hein make-up ka daba roze kiyun?
Ban sanwar kar nikalte hain chailaa roze kiyun?
Mummy tum to kehti thee Eid to kab kee gaye
Phir Parosan se gale miltay hain Papa roze kiyun?
Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon
Aaati hai to aaa ja, ya kisi aur ko pataooon
Gul gaya, Gulshan
gaya, Gaye honthon ki laaali
Ab to peeecha chor de, main ho gaye
bachchon waali
Ladka bola :
kash in hasinao ke baap mar jate,
kash in hasinao ke baap mar jate,
bahana gham ka hota, hum inke ghar to aate.
Ladki boli:
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga
Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai
Chandni raat thi, main so rahi thi ,Phir kisi ne darwaza
khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya, Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill
aaaya
Maine tujhe dekha, Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya
Patharr kyun marte ho, pura
pahaar maar do
Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do
Yeh tera
chehra hai, yaa kele ka chhilka
Jo dekha to, dil phisal gaya
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein
Tum aa gaye ho ; Noor aa gaya hai
Chalo teeno picture chalen.....
Apple Kat ta hoon knife se, Paani peeta
hoon pipe se,
Kya zamana aaa gaya,
Joote khata hoon wife se.
Katchi Kali
Katchnar Ki, Katcha Na Samjhna
Lar
Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na Samajhna
Khud ko kar buland itnaa..
Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche..
Aur khuda tumse puche..
'Abe gadhe... ab utrega kaise '
Door se dekha to kuchh dikha nahi......
Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi....
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi
Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.
Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye
tumhain,Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
maine kahaa ke kutte ke khaane kaa
cake hai, bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge
Industrian sari mere yaar khaa gaye
Meri Sari jaydaaad rishtedar khaa gaye
Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating
banaye mazar to minaar kha gaye
Soldier Soldier.....pressure cooker khol kar,
Sabzi meri uraa le gaya
Kutta ban gaya hoon tere pyaar main
yakeen nahin aata to suno...Bhow..bhow
Dil Logi, Ke Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone main Kitna Time
Logi
Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai
Tairna Hai To Paani Main Aao, Kinare Pe
Kya Rakha Hai
Ishq Karna Hai To Bahar aa, Ishare
main Kya Rakha Hai
Terna hai to beach me aao, Kinaro pe kya rakha hai,
Pyaar karna hai to bahon me aao, isharo me kya rakha
hai.
Janaza Mera Nikla, Duniya Dekh Ne Nikli
Magar Woh Zalim Na Nikli, Jiske
Liye Mera Janaza Nikla
Maine tujhe pyar kiya, Saraswati samajh kar
Tere Baap ne mujhe pita, Agarbatti samajh kar
Teri Beauty Ne Mujko Appeal Kiya,
Dusri Ko Reject Kiya,
Aur Tisri Ko Select Kiya.
Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal,
Kitne khush-naseeb hain vo choohe
Jin hon ne kutre tere baaal
Woh jab chalti hai to raahon main 100-100
ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai tab uthaa leta
hoon
Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel
So my darling ... What's The Big-Deal ??
Sheeshi bhari
gulab ki, phatthar se phor doon
Pant wali mil jaye, to ghanghre wali ko chor doon
Teri julf kya hai raat ka saaya hai
Sar muda deeya to sawera ho jayega.
Tere ishk me janam kya se kya haal ho gaya
Badan se badboo aa rahee hai, nahay jamana ho gaya.
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge, tere duar par sanam hazaar baar aayenge, ghanti bajayenge aur bhaag jayenge.,
Aur bhi cheezain bohat si lutt chukin hain dil kei saath.
Yeh batayaa doston nei ishq furmanei kei baad.
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon mein.
Ek tere aane se pehley ek tere jaane kei baad.
Dharti se aasmaa tak,
aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
[Audience: Are bhai, aage bhi to bolo.]
Hawa hi hawa hai.