Also Check Local Talent and Funny Shayari
Most of content has been contributed by visitors like you. If you want to share your original Shayari or something interesting, please email us contact@jalandhari.com.
Un Ko Aata Hey Pyar Per Ghussa, Hum Ko Ghussey Pay Pyar Aata Hai
Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa
sila diya hai,
Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai...
Eed ke din aap khadi na hone chhat par
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar
Hamhe to apnon ne mara
Gairon main kahan dham ta
Meri kashti doobi wahan
Jahan paaani kam tha
Tumhare pyaar me hamne bhohot chote khaye,
Jiska hisaab na hosake utne dard paye,
Phirbhi tere pyaar ki kasam khake kehtahu,
Hamare lab pe tumhare liye sirf pyaar aaye...
Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai
Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai
Jalne mein jo mazaa hai wo parwaane jaanthe hai
Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai
Math pee ghalib sharab masjid mein baith kar
Math pee ghalib sharab masjid mein baith kar
Ek hi bothal hai kahi khuda na maang le
1. fir kuchch is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree
hai
[ zoya = searcher, zaKHm-e-kaaree =
deep wound ]
2. fir jigar khodane laga naaKHun
aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai
[ aamad = arrival, fasl =
season/harvest ]
3. qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz
fir wahee parda-e-'amaaree
hai
[ niyaaz = desire, 'amaaree = rider's
seat with a canopy on an
elephant or camel ]
4. chashm-e-dallaal -e- jins-e-ruswaaee
dil KHareedaar-e-zauq-e-KHwaaree hai
[ chashm = eye, jins = things/items,
zauq = taste ]
5. wohee sad_rang naala farsaayee
wohee sad_goona ashq_baaree hai
[ sad = hundred, naala farsaayee =
lamenter, sad_goona = hundred
times, ashq_baaree =
lamentation ]
6. dil hawa-e-KHiraam-e-naaz se fir
mahshristaan-e-beqaraaree
hai
[ KHiraam = speed, mahshar = the last
day/"qayaamat ka din",
mahshristaan = place of
the last day ]
7. jalwa fir arz-e-naaz karta
hai
roz-e-baazaar-e-jaaN_sipaaree hai
[ jalwa = splendour, jaaN_sipaaree =
resigning one's life into
the hands of another ]
8. fir usee bewafa pe marte
haiN
fir wohee zindagee hamaaree hai
9. fir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz
garm baazaar-e-fauj_daaree
hai
[ dar = abode, fauj_daaree = military
court ]
10. ho raha hai jahaan meiN andher
zulf kee fir sarishta_daaree hai
[ sarishta_daaree = a regulator's
position ]
11. fir kiya paara-e-jigar ne sawaal
ek fariyaad-o-aah-o-zaaree
hai
[ paara = fragment ]
12. fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree
hai
[ talab = search/desire/request,
ashq_baaree = lamentation ]
13. dil-o-mizhgaaN ka jo muqadamaa tha
aaj fir uskee
roob_qaaree hai
[ mizhgaaN = eyelids, roob_qaaree =
to put the mind into work ]
14. be_KHudee be_sabab naheeN
'GHalib'
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai
[ be_KHudee = rapture, be_sabab =
without any reason,
pardaadaaree = to hide,
esp. fault ]